Bade Bade dhurandaron ke beech aakar
Rajesh Khanna ne apna ek makaam banaya…
Chehre par pyaari si muskurahat aur anokhi style ke zariye
Bollywood mein apna sikka jamaya…
Yun to kai sitare jhilmila rahe the cinema ke amber par
Par Kaka ne Chand ki shaqal mein wahan ujala phelaya…
Apni umda adakari ka jalwa aisa bikhera zamane mein
Ki woh Bollywood ka pehla Superstar kehlaya…
Halaat ne kai baar usse imtihaan liya
Phir bhi woh avtaar banke saamne aaya…
Waqt ke badalte hi Bollywood ne usse nazre pher li
Bawajood iske woh awaam ke dilon se naa mit paya…
Zinda tha tab bhi uske fans ki kami nahi thi
Aur jab saans ki dor tooti, tab bhi logon ne use sar par bithaya…
Kaiyyon ne koshish ki Kaka ke naqshe-kadam par chalne ki
Par koi bhi Rajesh Khanna nahi ban paya
Par koi bhi Rajesh Khanna nahi ban Paya…Kersi Contractor